Wednesday, April 28, 2010


                                                         Ek Aasha-Koi Mujhe bhi Kahe-MAA

Nimmo ki shadi ko abhi 10 mahine hue he.. aaj thodi chinta me he.. ki kahi uska pregnancy test positive naa aa jaye.. par jaise hi pata chala ki wo maa bannae wali he uski khushi ka thikana na raha. EK hi pal me itna badlav? Shayad pehle sirf ek ladki dar rahi thi magar ye ek maa ka dil tha jo apni kokh me apne bachhe ke aane se phula nahi sama raha tha. Ye khabar sun kar to sabki khushi ka thikana na rahi. Nimmo or sameer ke beech me jo thodi bhaut durian thi wo is bache ke aane ki khabar ne khatam si kar di.

Sameer nimmo ka jayda khayal rakhne laga he or apne aane wale bache ke liye bhaut utsuk he. Doctor ne bahut sare test likh diye he. Sare reports sahi he par ultrasound me bacha 4 hafte ka ho chukka he or dil ki dhadkan nahi he or asaliyat me bacha 7 hafte ka hona chahiye doctor kehte he ki 2 hafte me sudhar nahi hua to garbhpaat karna padega. Ye sun kar nimmo ki aankoan ke annsu rukne ka naam nahi le pa rahe manno us par vajrapaat ho gaya ho. Sameer bhi stambdh rah gaya. Par ek umeed banki he ki shayad sab thik ho jaye.

Ab sameer nimmo ki or dekhbhal karne laga he. Sab ghar wale nimmo ki dekhbhal me lag gaye he. Bistar se zameen par per nahi rakhne dete. Sab iss umeed par he ki shayad ab sab thik ho jaye. Par kahi na kahi ma ko lag raha he uska bachha use dur jane wala he. Par phir bhi ek aas banki he. Jaise taise 2 hafte guzar gaye doctor ke paas jane ka samay aaya par pata chala abhi koi sudhar nahi he. Doctor ne 2 hafte or rukne ko kaha. Sab taam jham karke dekh liya. Kayi or doctors ko bhi dikyaha par sab ka ek hi kehna tha is bache ki koi umeed nahi. Ankhir haar kar unhe garbhpat karana pada.


Nimmo ki aankhon ka to jaise nur hi chala gaya. Saare sapne dhare ked hare reh gaye. Wo phir akeli ho gayi . usko kokh phir se suni ho gayi. Us din nimmo apne aap ko itna bebus or lachar mehsus kar rahit hi. Ki jaise uske haath me kuchh na ho or wo bachha usse dur se keh raha heo "Maa tu to mujhe chahti hi nahi thi isliye me chala gaya". Ab uske paas num ankon ke siwa kuchh nahi he. Aaj ek saal ho gya he.. nimmo ko to bus intazaar he apne us bache ka jo use ruth kar use kahi dur chala gaya he.. par ussi ummed he uske wapas aane ki………………..wo pathraiyi si ankhe aaj bhi apne bache ki raah dekh rahi he………………………
Kya he man- Asantusht, Manav Man santusht ho jaye to kya baat. Jo mil jaye or jintana b mil jaye use santusht nahi. Or jo na mile uski aas liye beachain bĂȘthe rehte he or usko pane ke chkkar me jo he wo b kho dete he




ARE MAN ME TUJHE KAISE SAMJHATHI

Jab tha Bachpan to jawani ki chaht thi
Jawani aayi to bachan ki yaadaine satati
E man me tujhko kaise samjhati

Jab hui nahi thi shadi to Piya ke agan ki Hasrat thi
bhayah hua to le laga maa ke ghar hi me khushiyan thi
E man me tujko kaise samjhati

Kyu bhut bavishiya ki chinta me
Varthya hi Vartaman na ji pati
E man me tujhko kaise samjhati

Jo mila uske liye me khush na hoti
Jo nahi mile uske liye aannsu kyu bahati
E Man me tujhsko kaise samjhti

Par kasoor tera nahi teri phirtart he
Par phitrat tujhe badlni hogi
jo he tere pass abhi wo tera present (gift) he
jo he jaisa he usme khush rahe ye baat tujhe samjhni hogi

Tuesday, April 27, 2010

Prarthamik shiksha ka star Gaon me




Chhota sa vidhyala pratham sthar se le kar panchvi star tak ka…. jisme mushkil se ek kamra he.. ek budi adhaypika jo ek kursi par beti he or sweater bunnane ke sath sath……or 1 se 5 kasha ke 40-50 bacchaon ko ek sath pada rahi he school ke baramde me beth kar… kuchh tasweer bani isse pad kar….ye he Uttaranchal ka ek prathamik vidhyala…..kya aap isse andaja laga sakte he kya pad rahe he wo bache??? Kya he unki siksha ka star. Sochne wali baat he ek adhyapk jo 1 se lekar 5 tak ke bachon ko ek sath pada raha he. Kya pad rahe he wo bachain.

Teacher b kya kare ye uski majburi he or bachain b kya kare unke liye ye bus ek time pass ho gaya he. Yar phir maa baap mid day meal ke lalach me bachon ko school bhej dete he jaha Uttaranchal ke gaonme itni garibi he unke liye to ye ek kamai ka achha jariya ban gaya he chalo bacha kuchh din school jayega to ek waqt ka khana to milega. Phir bacha pade ya na pade.

Kabhi Kabhi Lagta he kya he in Bachon ka bhavishya…jab Neev hi kazor he to imarat kab tak sbhalegi. Aj kehne ko to har jile me degree college ban gaye he. Enginerring college khul rahe he. Par prathamik shiksha ka kya . Or kya phayda wo school banana ka agar waha adhyapk hi pure nahi he. Or ajkal sab aeshoaram ki zindagi chahte he. Adhyapk b aese peechade gramin chhetra me jakar nahi padana chahte jaha unko mulbhut suvidhye na ho.
Kya hoga in bachon ka bhavishya??????? Gambhir or bada hi jatil prashan he.
BAki baad me.