Tuesday, April 27, 2010

Prarthamik shiksha ka star Gaon me




Chhota sa vidhyala pratham sthar se le kar panchvi star tak ka…. jisme mushkil se ek kamra he.. ek budi adhaypika jo ek kursi par beti he or sweater bunnane ke sath sath……or 1 se 5 kasha ke 40-50 bacchaon ko ek sath pada rahi he school ke baramde me beth kar… kuchh tasweer bani isse pad kar….ye he Uttaranchal ka ek prathamik vidhyala…..kya aap isse andaja laga sakte he kya pad rahe he wo bache??? Kya he unki siksha ka star. Sochne wali baat he ek adhyapk jo 1 se lekar 5 tak ke bachon ko ek sath pada raha he. Kya pad rahe he wo bachain.

Teacher b kya kare ye uski majburi he or bachain b kya kare unke liye ye bus ek time pass ho gaya he. Yar phir maa baap mid day meal ke lalach me bachon ko school bhej dete he jaha Uttaranchal ke gaonme itni garibi he unke liye to ye ek kamai ka achha jariya ban gaya he chalo bacha kuchh din school jayega to ek waqt ka khana to milega. Phir bacha pade ya na pade.

Kabhi Kabhi Lagta he kya he in Bachon ka bhavishya…jab Neev hi kazor he to imarat kab tak sbhalegi. Aj kehne ko to har jile me degree college ban gaye he. Enginerring college khul rahe he. Par prathamik shiksha ka kya . Or kya phayda wo school banana ka agar waha adhyapk hi pure nahi he. Or ajkal sab aeshoaram ki zindagi chahte he. Adhyapk b aese peechade gramin chhetra me jakar nahi padana chahte jaha unko mulbhut suvidhye na ho.
Kya hoga in bachon ka bhavishya??????? Gambhir or bada hi jatil prashan he.
BAki baad me.